Monday 26 March 2012

Aakhir main bhi ek insaan hoon

Zindagi ke is safar mein
socha tha has khel kar zindagi bitayege
na kabhi kisi ko sateyege
har mushkil ka samna dat kar karege
aur na kabhi gam mahsus karege
par bhul gaya tha main, ki aakhir main bhi ek insaan hoon
aakhir main bhi ek insaan hoon

Bahen ko kiya tha itna tang, ladai karne ka karta tha itna maan
phir bhi uski vidai par na jane kyon ho gaye the aankhen naam
socha nahin tha yaad woh itni aayegi
palko par aasoon la kar bada rulayegi
seekha nahin tha abhi uske bin jeena
kyon laga upar waale ne mujh se kuch chheena
bhul gaya tha main ki aakhir main bhi ek insaan hoon
aakhir main bhi ek insaan hoon

socha the maine, abhi pade hai zindagi ke din hazar
puri zindagi kaam karne ke baad, ab nahin karna apne upar atyachar
bhul gaya tha main, ki samay ke is chakra mein
ek din thak har kar so jaoga main
bhul gaya tha main ki aakhir main bhi ek insaan hoon
aakhir main bhi ek insaan hoon

3 comments: